College days are the best days of life. All of us as strangers meet each other and after sometime those strangers become a very crucial part of our life. Friends, these are one with whom we can share anything and everything. As they become our second family. They stand with us at every worst and best moments of our life. Friends make life more easier. Without them we can’t imagine our lives. So here is poem on those 4 years of college life in which there are lots of moments which one can’t forget.
Raah dekhi thi is din ki kabse
aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se
bade utavle the yahaan se jaane ko
zindagi ka agla padaav paane ko
par naa jane kyon ..dil mein aaj kuch aur aata hai
waqt ko rokne ka jee chahta hai
jin baton ko lekar rote the
aaj un par hansi aati hai
na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai
kaha kart tha ..badi mushkil se chaar saal seh gaya
par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya
kahi ankahi hazaaron batein reh gayi
na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi
meri taang ab kaun kheencha karega
sirf mera sir khane kaun mera peecha karega
jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega
kaun raat bhar saath jag kar padega
Kaun mera lunch mujse pooche bina khayega
kaun mere naye naye naam banayega
mein ab bina matlab kis se ladoonga
bina topic ke kisse faalto baat karoonga
kaun fail hone par dilasa dilayega
kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega
aise dost kahaan milenge
jo khai mein bhi dhakka de aayein
par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein
meri ghazlon se pareshaan kaun hoga
kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga
carrom mein kiske saath kheloonga
kis ke saath boring lectures jheloonga
professors ke PJ par RAKSHAS ki tarah kaun hansega
mere certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega
bina dare sachi raay dene ki himmat kaun karega
stage par ab kis ke saath jaoonga
juniors ko faltoo ke lectures kaise sunauga
achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna
na jaane ye fir kab hoga
keh do doston ye dobaara sab hoga
doston ke liye professor se kab lad payenge
kya hum ye fir mil payenge
raat ko 2 baje paranthe khane kaun jayega
3 gilaas lassi peene ki shart kaun lagayega
kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega
aur jyada hawa mein udne par zameen pe layega
meri khushi mein sach mein khush kaun hoga
mere gam mein mujh se jyada dukhi kaun hoga
meri ye kavita kaun padega
kaun ise sach mein samjhega
bahut kuch likhna abhi baaki hai
kuch saath shayad baaki hai
bas ek baat se dar lagta hai doston
hum anjnabi na ban jayein doston
zindagi ke rangon mein dosti ka rang feeka na pad jaye
kahin aisa na ho doosre rishton ki bheed mein dosti dum tod jayye
zindagi mein milne ki fariyaad karte rehna
agar na mil sakein to kam se kam yaad karte rehna
chahe jitna hanslo aaj mujh par
mein bura nahi manooga
is hansi ko apne dil mein basa loonga
aur jab yaad aayegi tumhari
yahi hansi lekar thoda muskura loonga